Monsoon aaneki khushfahmimein
apni tooti neend ko dubokar..
bade maje se kulaanche maare phir rahaa thaa
ek beghar aur bekaar sa mendhak.
Jisske bemausam aur maasoomse gitonko
raatkohi raah bahaakar
saath kahin legayee thi.
Agli dopaharko jub tak
woh calender ki asliyat ko
theek se samajh paataa,
bahut der ho chuki thii.
Aprailki nakchadhi dopahar
uss se maangne lagi thii,
mausam ki badmijaazika hissaab.
Naa nind mili..naa ghar kaa pataa..
aur naahi maati kaa thikaanaa.
Usske haath lagaa to basss
ek dhokha ! Basss.
Maut bhi aaneko hi thii dhoop ke jariye..
jub farsh se usse zapatkar
kauye uthaakar le gaye the.
Ab bhi ussi farsh par padaa hai
usska maasoomsaa sawaal.
Maati aakhir gayee to kahaan?
Naa kadmonko maangti hai..
naa chhintonko rangti hai..
Naa sadkonko laaghanti hai..
Naa kahiin nazar aati hai..
Naa saansomein mehakti hai..
Naa chiidiyonsang chahakti hai..
Naa maathe par dahakti hai..
naa fislan par bahakti hai..
Maati aakhir gayee to kahaan?
Naa kadmontale dikhti hai aur naa saathmein mod par mudti hai..
Maati to bass farshke neeche akele mein, lamha lamha dam todti hai..
Jub yeh shahar uth jaayenge,
registaan nazar aayenge..
Naa paaniki tip tip..
naa maati ki chip chip..
sab kuchh saaf suthraa..
yahi ho rahaa hai..
Dirt less city keliye,
sab saaf ho rahaa hai..
Shorr mat karo..jaag uthhenge abhise..
Aapke mer kadmontale marti maatike garbh mein
pal rahe hain..
saikdon sadiyonke registaan.
Maasterji kehte hain,
Global warming ho rahaa hai..!