rediff ILAND
Welcome Guest, | Create your own iLand| Sign In  | New User? Get Started
BLOGS
iLand
Blogs
Friends/Contributors
Guestbook  
 
sanjay tiwari
Categories
Poetry
Politics
What is an RSS feed?
RSS Feed 
Gr8.rediffiland.com/  
Friday 5 December, 2008
 17:45 | 13/Apr/2008 |  0 Comment(s)
  Add sanjay tiwari as Friend     Write to sanjay tiwari     Forward this link
Maati ki Baat..

Monsoon aaneki  khushfahmimein


apni tooti neend ko dubokar..


bade maje se kulaanche maare phir rahaa thaa


ek beghar aur bekaar sa mendhak.


 


Jisske bemausam aur maasoomse gitonko


raatkohi raah bahaakar


saath kahin legayee thi.


 


Agli dopaharko jub tak


woh calender ki asliyat ko


theek se samajh paataa,


bahut der ho chuki thii.


 


Aprailki nakchadhi dopahar


uss se  maangne lagi thii,


mausam ki badmijaazika hissaab.


 


Naa nind mili..naa ghar kaa pataa..


aur naahi maati kaa thikaanaa.


Usske haath lagaa to basss


ek dhokha ! Basss.


Maut bhi aaneko hi thii dhoop ke jariye..


jub farsh se usse zapatkar


kauye uthaakar le gaye the.


Ab bhi ussi farsh par padaa hai


usska maasoomsaa sawaal.


Maati aakhir gayee to kahaan?


Naa kadmonko maangti hai..


naa chhintonko rangti hai..


Naa sadkonko laaghanti hai..


Naa kahiin nazar aati hai..


Naa saansomein mehakti hai..


Naa chiidiyonsang chahakti hai..


Naa  maathe par dahakti hai..


naa fislan par bahakti hai..


Maati aakhir gayee to kahaan?


Naa kadmontale dikhti hai aur naa saathmein mod par mudti hai..


Maati to bass farshke neeche akele mein, lamha lamha dam todti hai..


Jub yeh shahar uth jaayenge,


registaan nazar aayenge..


Naa paaniki tip tip..


naa maati ki chip chip..


sab kuchh saaf suthraa..


yahi ho rahaa hai..


Dirt less city keliye,


sab saaf ho rahaa hai..


 


Shorr mat karo..jaag uthhenge abhise..


Aapke mer kadmontale marti maatike  garbh mein


pal rahe hain..


saikdon sadiyonke registaan.


Maasterji kehte hain,


Global warming ho rahaa hai..!

Category: Poetry | Permalink